pata chala hai aap ke namak ko ghaw chahiye
pata chalā hai aap ke namak ko ghaav chāhiye
to ye paḌī hai ruuh aur kuchh batāo chāhiye
hatheliyāñ ragaḌ ragaḌ ke laal kar chuke magar
ye jis balā kī sard shaam hai alaav chāhiye
bhaTaktī phirtī ek joḌ ḳhvāhisheñ to sabr thā
par ab qabīla ho ga.ī haiñ ab paḌāo chāhiye
maiñ be-dilī ke bāvajūd saath huuñ mazāq hai
ab us ko merī shakl pe bhī hāv-bhāv chāhiye
bhale sabhī dharundharoñ ko aañkh dikh ga.ī thī par
dhanush kī Dor ko napā-tulā tanāv chāhiye
rasad tumhāre paas mere paas dūrbīn hai
hamārī kashtiyoñ ko ek sā bahāo chāhiye
samay nikāl kar baḌoñ se baat kar liyā karo
purānī buildiñgoñ ko thoḌā rakh-rakhāv chāhiye
pata chala hai aap ke namak ko ghaw chahiye
to ye paDi hai ruh aur kuchh batao chahiye
hatheliyan ragaD ragaD ke lal kar chuke magar
ye jis bala ki sard sham hai alaw chahiye
bhaTakti phirti ek joD KHwahishen to sabr tha
par ab qabila ho gai hain ab paDao chahiye
main be-dili ke bawajud sath hun mazaq hai
ab us ko meri shakl pe bhi haw-bhaw chahiye
bhale sabhi dharundharon ko aankh dikh gai thi par
dhanush ki Dor ko napa-tula tanaw chahiye
rasad tumhaare pas mere pas durbin hai
hamari kashtiyon ko ek sa bahao chahiye
samay nikal kar baDon se baat kar liya karo
purani buildingon ko thoDa rakh-rakhaw chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.