pata milta nahin dil ka kahan jins-e-giran rakh di
pata milta nahin dil ka kahan jins-e-giran rakh di
Sher Singh Naaz Dehlvi
MORE BYSher Singh Naaz Dehlvi
pata miltā nahīñ dil kā kahāñ jins-e-girāñ rakh dī
isī se zindagānī thī ye shai ham ne kahāñ rakh dī
guzārī zindagānī ham ne yuuñ ḳhāna-badoshī meñ
jahāñ tinke nazar aa.e binā-e-āshiyāñ rakh dī
miTāne ko añdherā qabr kā hai dāġh-e-dil kaafī
ye sham' kyoñ sar-e-marqad uḌāne ko dhuāñ rakh dī
parā.ī aag meñ paḌ kar jo jī par khel jaate haiñ
ḳhudā ne un ke hisse meñ hayāt-e-jāvedāñ rakh dī
kiyā betāb aisā lazzat-e-shauq-e-shahādat ne
rag-e-jāñ meñ bhare nashtar kaleje meñ sināñ rakh dī
bhalā dekheñ to ab kyūñkar na un kā dil pasījegā
dahan meñ nāma-bar ke kaaT kar apnī zabāñ rakh dī
sitam hai ġhair to haiñ bā-vafā maiñ bevafā Thahrā
mujhī pe tum ne kyoñ tohmat nasīb-e-dushmanāñ rakh dī
vahīñ hai chashma-e-zamzam jahāñ par baiTh kar pī lī
vahīñ mai-ḳhāna hai mujh rind ne botal jahāñ rakh dī
suḳhan-var vajd karte haiñ tire ash'ār sun-sun kar
ġhazal meñ baat aisī tū ne 'nāz'-e-nukta-dāñ rakh dī
pata milta nahin dil ka kahan jins-e-giran rakh di
isi se zindagani thi ye shai hum ne kahan rakh di
guzari zindagani hum ne yun KHana-badoshi mein
jahan tinke nazar aae bina-e-ashiyan rakh di
miTane ko andhera qabr ka hai dagh-e-dil kafi
ye sham' kyon sar-e-marqad uDane ko dhuan rakh di
parai aag mein paD kar jo ji par khel jate hain
KHuda ne un ke hisse mein hayat-e-jawedan rakh di
kiya betab aisa lazzat-e-shauq-e-shahadat ne
rag-e-jaan mein bhare nashtar kaleje mein sinan rakh di
bhala dekhen to ab kyunkar na un ka dil pasijega
dahan mein nama-bar ke kaT kar apni zaban rakh di
sitam hai ghair to hain ba-wafa main bewafa Thahra
mujhi pe tum ne kyon tohmat nasib-e-dushmanan rakh di
wahin hai chashma-e-zamzam jahan par baiTh kar pi li
wahin mai-KHana hai mujh rind ne botal jahan rakh di
suKHan-war wajd karte hain tere ash'ar sun-sun kar
ghazal mein baat aisi tu ne 'naz'-e-nukta-dan rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.