pata chala ki meri zindagi mein likkha tha
patā chalā ki mirī zindagī meñ likkhā thā
vo jis kā naam kabhī Diary meñ likkhā thā
vo kis qabīle se hai kaun se gharāne se
sab us ke lahje kī shā.istagī meñ likkhā thā
nazar meñ aa.e bahut se saje bane chehre
magar jo husn tirī sādgī meñ likkhā thā
vo mujh ġharīb kī hālat pe aur kyā kahtā
tamām zahr to us kī hañsī meñ likkhā thā
ga.e dinoñ kī kahānī hai jab ra.īsoñ kā
vaqār chaal kī āhistagī meñ likkhā thā
'farāz' DhūñD rahe ho vafāoñ kī ḳhushbū
ye zā.iqa kisī guzrī sadī meñ likkhā thā
pata chala ki meri zindagi mein likkha tha
wo jis ka nam kabhi Diary mein likkha tha
wo kis qabile se hai kaun se gharane se
sab us ke lahje ki shaistagi mein likkha tha
nazar mein aae bahut se saje bane chehre
magar jo husn teri sadgi mein likkha tha
wo mujh gharib ki haalat pe aur kya kahta
tamam zahr to us ki hansi mein likkha tha
gae dinon ki kahani hai jab raison ka
waqar chaal ki aahistagi mein likkha tha
'faraaz' DhunD rahe ho wafaon ki KHushbu
ye zaiqa kisi guzri sadi mein likkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.