pata ta-zindagi paya na KHushiyon ke Thikane ka
pata ta-zindagi paya na KHushiyon ke Thikane ka
Shabbir Ahmad Shad
MORE BYShabbir Ahmad Shad
patā tā-zindagī paayā na ḳhushiyoñ ke Thikāne kā
ye jurmāna lagā ham par kisī se dil lagāne kā
hamāre hausloñ kī āsmāñ bhī daad detā hai
tavāf ab bhī kiyā kartī hai bijlī āshiyāne kā
mirī āñkhoñ meñ apne gaañv ke dilkash manāzir haiñ
irāda kar liyā hai maiñ ne bhī ghar lauT jaane kā
ġhazal kā pairahan maiñ zehn ke sāñche meñ buntā huuñ
zamāna mo'tarif hotā hai mere tāne-bāne kā
ġhamoñ ke vo manāzir ik tabassum ne dikhā.e haiñ
kiyā na hausla ham ne dobāra muskurāne kā
chalo ḳhalvat-kade meñ 'shād' sāhab shaam hotī hai
yahī to vaqt hotā hai kisī kī yaad aane kā
pata ta-zindagi paya na KHushiyon ke Thikane ka
ye jurmana laga hum par kisi se dil lagane ka
hamare hauslon ki aasman bhi dad deta hai
tawaf ab bhi kiya karti hai bijli aashiyane ka
meri aankhon mein apne ganw ke dilkash manazir hain
irada kar liya hai main ne bhi ghar lauT jaane ka
ghazal ka pairahan main zehn ke sanche mein bunta hun
zamana mo'tarif hota hai mere tane-bane ka
ghamon ke wo manazir ek tabassum ne dikhae hain
kiya na hausla hum ne dobara muskurane ka
chalo KHalwat-kade mein 'shad' sahab sham hoti hai
yahi to waqt hota hai kisi ki yaad aane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.