pata tha dur kar doge
patā thā duur kar doge
ġhamoñ se chuur kar doge
falak par jo sitāre haiñ
unheñ be-nūr kar doge
mujhe itnā rulā kar tum
bahut mash.hūr kar doge
mohabbat zaḳhm gahrā hai
use nāsūr kar doge
sanam zaḳhmoñ ko mahkā kar
unheñ pur-nūr kar doge
agar zulfeñ girā doge
shab-e-dījūr kar doge
ināyat gar rahī yūñhī
mujhe maġhrūr kar doge
tumhīñ lahrā ke ye āñchal
fazā mas.hūr kar doge
hameñ tum chhoḌ kar 'sāġhar'
sitam bharpūr kar doge
pata tha dur kar doge
ghamon se chur kar doge
falak par jo sitare hain
unhen be-nur kar doge
mujhe itna rula kar tum
bahut mashhur kar doge
mohabbat zaKHm gahra hai
use nasur kar doge
sanam zaKHmon ko mahka kar
unhen pur-nur kar doge
agar zulfen gira doge
shab-e-dijur kar doge
inayat gar rahi yunhi
mujhe maghrur kar doge
tumhin lahra ke ye aanchal
faza mashur kar doge
hamein tum chhoD kar 'saghar'
sitam bharpur kar doge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.