pathrili wo zamin thi koi rasta na tha
pathrīlī vo zamīn thī koī rāsta na thā
guzrā thā kis maqām se mujh ko pata na thā
vo baat mere naam se mansūb kī ga.ī
jis baat se to merā koī vāsta na thā
mushkil ghaḌī meñ ban ke sahārā vo aa gayā
merī taraf jo muḌ ke kabhī dekhtā na thā
patthar kahāñ se aayā thā ye sochnā paḌā
is shahr meñ to merā koī āshnā na thā
andar ke fāsloñ ne pareshān kar diyā
zāhir kā fāsla to koī fāsla na thā
'rahbar' khaḌā thā maiñ kisī anjāne moḌ par
jaarī safar thā aage magar rāsta na thā
pathrili wo zamin thi koi rasta na tha
guzra tha kis maqam se mujh ko pata na tha
wo baat mere nam se mansub ki gai
jis baat se to mera koi wasta na tha
mushkil ghaDi mein ban ke sahaara wo aa gaya
meri taraf jo muD ke kabhi dekhta na tha
patthar kahan se aaya tha ye sochna paDa
is shahr mein to mera koi aashna na tha
andar ke faslon ne pareshan kar diya
zahir ka fasla to koi fasla na tha
'rahbar' khaDa tha main kisi anjaane moD par
jari safar tha aage magar rasta na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.