patjhaD ke nazaron ki taraf dekh raha hun
patjhaD ke nazaron ki taraf dekh raha hun
Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri
MORE BYPundit Amar Nath Hoshiyarpuri
patjhaḌ ke nazāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
be-kaif bahāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
taqdīr ke māroñ kī taraf dekh rahā huuñ
maiñ Dūbte tāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
phir dostoñ yāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
sāñpoñ kī qatāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
haiñ dafn jahāñ merī tamannāoñ ke ahrām
un ujḌe dayāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
tū bhī to hazāroñ kī taraf dekh ḳhudārā
maiñ bhī to hazāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
to ġhuncha hai ġhunchoñ kī taraf dekh rahā hai
maiñ ḳhaar huuñ ḳhāroñ kī taraf dekh rahā huuñ
sarshār kināre bhī haiñ ab Dūbne vaale
be-kār kināroñ kī taraf dekh rahā huuñ
patjhaD ke nazaron ki taraf dekh raha hun
be-kaif bahaaron ki taraf dekh raha hun
taqdir ke maron ki taraf dekh raha hun
main Dubte taron ki taraf dekh raha hun
phir doston yaron ki taraf dekh raha hun
sanpon ki qataron ki taraf dekh raha hun
hain dafn jahan meri tamannaon ke ahram
un ujDe dayaron ki taraf dekh raha hun
tu bhi to hazaron ki taraf dekh KHudara
main bhi to hazaron ki taraf dekh raha hun
to ghuncha hai ghunchon ki taraf dekh raha hai
main KHar hun KHaron ki taraf dekh raha hun
sarshaar kinare bhi hain ab Dubne wale
be-kar kinaron ki taraf dekh raha hun
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 168)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.