patta hun aandhiyon ke muqabil khaDa hun main
pattā huuñ āñdhiyoñ ke muqābil khaḌā huuñ maiñ
girte hue daraḳht se kitnā baḌā huuñ maiñ
parcham huuñ raushnī kā mirā ehtirām kar
tārīkiyoñ kā rāsta roke khaḌā huuñ maiñ
mere hare vajūd se pahchān us kī thī
be-chehra ho gayā hai vo jab se jhaḌā huuñ maiñ
mat soch ye ki merī kisī ne nahīñ sunī
ye dekh apnī baat pe kitnā aḌā huuñ maiñ
ab us ke rābte bhī mire dushmanoñ se haiñ
jis ke vaqār ke liye 'az.har' laḌā huuñ maiñ
patta hun aandhiyon ke muqabil khaDa hun main
girte hue daraKHt se kitna baDa hun main
parcham hun raushni ka mera ehtiram kar
tarikiyon ka rasta roke khaDa hun main
mere hare wajud se pahchan us ki thi
be-chehra ho gaya hai wo jab se jhaDa hun main
mat soch ye ki meri kisi ne nahin suni
ye dekh apni baat pe kitna aDa hun main
ab us ke rabte bhi mere dushmanon se hain
jis ke waqar ke liye 'azhar' laDa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.