patte gire hain shaKH se is etibar mein
patte gire haiñ shāḳh se is e'tibār meñ
phir se nikal hī ā.eñge aglī bahār meñ
dariyā tire shabāb-e-talātum kī ḳhair ho
vo vasvase uThe haiñ dil-e-dīn-dār meñ
vo intihā.ī 'ishq se mahrūm rah ga.e
dauḌā rahe the 'aql ke ghoḌe jo pyaar meñ
tujh se bichhaḌ ke ḳhuub ujāgar huā huuñ maiñ
ubhre haiñ naqsh-e-she'r-o-suḳhan ḳhāksār meñ
muḌ kar class meñ use chhup-chhup ke dekhnā
kitnī nazākateñ thī vo bachpan ke pyaar meñ
patte gire hain shaKH se is e'tibar mein
phir se nikal hi aaenge agli bahaar mein
dariya tere shabab-e-talatum ki KHair ho
wo waswase uThe hain dil-e-din-dar mein
wo intihai 'ishq se mahrum rah gae
dauDa rahe the 'aql ke ghoDe jo pyar mein
tujh se bichhaD ke KHub ujagar hua hun main
ubhre hain naqsh-e-she'r-o-suKHan KHaksar mein
muD kar class mein use chhup-chhup ke dekhna
kitni nazakaten thi wo bachpan ke pyar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.