patthar-dil ko mom banaya kafir but ko ram kiya
patthar-dil ko mom banāyā kāfir but ko raam kiyā
kaam to āḳhir itnā tū ne aaj dil-e-nākām kiyā
ek ne rāz-e-ishq chhupāyā ek ne tasht-az-bām kiyā
zabt ne parda-dārī kī aur ashkoñ ne badnām kiyā
sikka vafā kā ham ne biThāyā aap ne jaur-e-ām kiyā
ham ne apnā kaam kiyā aur aap ne apnā kaam kiyā
umr guzārī rote-dhote aaheñ bhar mātam karte
aap pe marne vāloñ ne kab chain kiyā ārām kiyā
thaam liyā us shoḳh kā dāman girte girte muTThī meñ
sadqe maiñ is laġhzish par is laġhzish ne kyā kaam kiyā
bhuul na jaa.e raah 'mubārak' un logoñ kī raah chalā
jin par mere maulā tū ne fazl kiyā in.aam kiyā
patthar-dil ko mom banaya kafir but ko ram kiya
kaam to aaKHir itna tu ne aaj dil-e-nakaam kiya
ek ne raaz-e-ishq chhupaya ek ne tasht-az-baam kiya
zabt ne parda-dari ki aur ashkon ne badnam kiya
sikka wafa ka hum ne biThaya aap ne jaur-e-am kiya
hum ne apna kaam kiya aur aap ne apna kaam kiya
umr guzari rote-dhote aahen bhar matam karte
aap pe marne walon ne kab chain kiya aaram kiya
tham liya us shoKH ka daman girte girte muTThi mein
sadqe main is laghzish par is laghzish ne kya kaam kiya
bhul na jae rah 'mubarak' un logon ki rah chala
jin par mere maula tu ne fazl kiya inam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.