Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai

Bashir Badr

patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    patthar ke jigar vaalo ġham meñ vo ravānī hai

    ḳhud raah banā legā bahtā huā paanī hai

    phūloñ meñ ġhazal rakhnā ye raat raanī hai

    is meñ tirī zulfoñ be-rabt kahānī hai

    ik zehn-e-pareshāñ meñ vo phuul chehra hai

    patthar hifāzat meñ shīshe javānī hai

    kyoñ chāñdnī rātoñ meñ dariyā pe nahāte ho

    so.e hue paanī meñ kyā aag lagānī hai

    is hausla-e-dil par ham ne bhī kafan pahnā

    hañs kar koī pūchhegā kyā jaan gañvānī hai

    rone asar dil par rah-rah ke badaltā hai

    aañsū kabhī shīsha hai aañsū kabhī paanī hai

    ye shabnamī lahja hai āhista ġhazal paḌhnā

    titlī kahānī hai phūloñ zabānī hai

    patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai

    KHud rah bana lega bahta hua pani hai

    phulon mein ghazal rakhna ye raat ki rani hai

    is mein teri zulfon ki be-rabt kahani hai

    ek zehn-e-pareshan mein wo phul sa chehra hai

    patthar ki hifazat mein shishe ki jawani hai

    kyon chandni raaton mein dariya pe nahate ho

    soe hue pani mein kya aag lagani hai

    is hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pahna

    hans kar koi puchhega kya jaan ganwani hai

    rone ka asar dil par rah-rah ke badalta hai

    aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai

    ye shabnami lahja hai aahista ghazal paDhna

    titli ki kahani hai phulon ki zabani hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now