patthar ke KHuda patthar ke sanam patthar ke hi insan pae hain
patthar ke KHuda patthar ke sanam patthar ke hi insan pae hain
Sudarshan Faakir
MORE BYSudarshan Faakir
patthar ke ḳhudā patthar ke sanam patthar ke hī insāñ paa.e haiñ
tum shahr-e-mohabbat kahte ho ham jaan bachā kar aa.e haiñ
but-ḳhāna samajhte ho jis ko pūchho na vahāñ kyā hālat hai
ham log vahīñ se lauTe haiñ bas shukr karo lauT aa.e haiñ
ham soch rahe haiñ muddat se ab umr guzāreñ bhī to kahāñ
sahrā meñ ḳhushī ke phuul nahīñ shahroñ meñ ġhamoñ ke saa.e haiñ
hoñToñ pe tabassum halkā sā āñkhoñ meñ namī sī hai 'fākir'
ham ahl-e-mohabbat par aksar aise bhī zamāne aa.e haiñ
patthar ke KHuda patthar ke sanam patthar ke hi insan pae hain
tum shahr-e-mohabbat kahte ho hum jaan bacha kar aae hain
but-KHana samajhte ho jis ko puchho na wahan kya haalat hai
hum log wahin se lauTe hain bas shukr karo lauT aae hain
hum soch rahe hain muddat se ab umr guzaren bhi to kahan
sahra mein KHushi ke phul nahin shahron mein ghamon ke sae hain
honTon pe tabassum halka sa aankhon mein nami si hai 'fakir'
hum ahl-e-mohabbat par aksar aise bhi zamane aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.