patthar ki bhuri oT mein lala khila tha kal
patthar ki bhuri oT mein lala khila tha kal
Shamsur Rahman Faruqi
MORE BYShamsur Rahman Faruqi
patthar kī bhūrī oT meñ laala khilā thā kal
aaj us ko noch le ga.iiñ vo bachchiyāñ janāb
āñkhoñ meñ raushnī kī jagah thā ḳhudā kā naam
paañv tuḌā ke mar rahe jaate kahāñ janāb
ham barg-e-zard sabz ḳhalāoñ meñ chhup ga.e
ham ko havā-e-sard thī sañg-e-girāñ janāb
bose ke daaġh se hai munavvar jabīñ magar
jaltī paḌī hai sham.a sī pyāsī zabāñ janāb
kaalī zamīñ pe chhantī darīchoñ se raushnī
bāhar to jhāñkiye hai anokhā samāñ janāb
niilī chamaktī dhuup to biktī nahīñ kahīñ
ham kis ke haath bech deñ lafz-o-bayāñ janāb
patthar ki bhuri oT mein lala khila tha kal
aaj us ko noch le gain wo bachchiyan janab
aankhon mein raushni ki jagah tha KHuda ka nam
panw tuDa ke mar rahe jate kahan janab
hum barg-e-zard sabz KHalaon mein chhup gae
hum ko hawa-e-sard thi sang-e-giran janab
bose ke dagh se hai munawwar jabin magar
jalti paDi hai shama si pyasi zaban janab
kali zamin pe chhanti darichon se raushni
bahar to jhankiye hai anokha saman janab
nili chamakti dhup to bikti nahin kahin
hum kis ke hath bech den lafz-o-bayan janab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.