patthar ki qaba pahne mila jo bhi mila hai
patthar kī qabā pahne milā jo bhī milā hai
har shaḳhs yahāñ soch ke sahrā meñ khaḌā hai
ne jaam khanakte haiñ na kaafī ke piyāle
dil shab kī sadāoñ kā jahāñ DhūñD rahā hai
saḌkoñ pe karo dauḌte pahiyoñ kā ta.āqub
umDī huī ākāsh pe sāvan kī ghaTā hai
jaate hue ghar tum jo mujhe sauñp ga.e the
vo vaqt mujhe chhoḌ ke begāna huā hai
tum paas jo hote to fazā aur hī hotī
mausam mire pahlū se abhī uTh ke gayā hai
malbūs se chhante hue shādāb badan ne
tahzīb-e-ḳhayālāt ko āvāra kiyā hai
patthar ki qaba pahne mila jo bhi mila hai
har shaKHs yahan soch ke sahra mein khaDa hai
ne jam khanakte hain na kafi ke piyale
dil shab ki sadaon ka jahan DhunD raha hai
saDkon pe karo dauDte pahiyon ka taaqub
umDi hui aakash pe sawan ki ghaTa hai
jate hue ghar tum jo mujhe saunp gae the
wo waqt mujhe chhoD ke begana hua hai
tum pas jo hote to faza aur hi hoti
mausam mere pahlu se abhi uTh ke gaya hai
malbus se chhante hue shadab badan ne
tahzib-e-KHayalat ko aawara kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.