patthar na koi dhul na kanTa dikhai de
patthar na koī dhuul na kāñTā dikhā.ī de
ye hālat-e-junūñ bhī tamāshā dikhā.ī de
ham ne nishān-e-qabr ko ā.īna kar diyā
shāyad kisī ko vaqt kā chehra dikhā.ī de
aisā na ho ki shauq se mahrūm hī raheñ
jo kuchh hamārī aañkh ne dekhā dikhā.ī de
ho kar bhī kuchh nahīñ huuñ agar huuñ to ai ḳhudā
mujh ko mire vajūd kā honā dikhā.ī de
maanā ki Dūbte ko sahārā bahut hai ye
ubhrūñ kisī bhī taur to tinkā dikhā.ī de
aḳhtar chakor dil ke mire mahv-e-raqs haiñ
ik māhtāb jhiil meñ utrā dikhā.ī de
patthar na koi dhul na kanTa dikhai de
ye haalat-e-junun bhi tamasha dikhai de
hum ne nishan-e-qabr ko aaina kar diya
shayad kisi ko waqt ka chehra dikhai de
aisa na ho ki shauq se mahrum hi rahen
jo kuchh hamari aankh ne dekha dikhai de
ho kar bhi kuchh nahin hun agar hun to ai KHuda
mujh ko mere wajud ka hona dikhai de
mana ki Dubte ko sahaara bahut hai ye
ubhrun kisi bhi taur to tinka dikhai de
aKHtar chakor dil ke mere mahw-e-raqs hain
ek mahtab jhil mein utra dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.