patthar se kya shakl nikale ye hum kya jaanen
patthar se kyā shakl nikāle ye ham kyā jāneñ
aazar kis paikar meñ Dhāle ye ham kyā jāneñ
kaun havā kā haath baḌhā.e naav ulaT jaa.e
dariyā kuude kaun uchhāle ye ham kyā jāneñ
niiñd bhare halkore leñ rāteñ kis ke hāthoñ
kaun charāġh-e-sub.h ujāle ye ham kyā jāneñ
kyā kahiye kis zahr kī kaaT ragoñ meñ phirtī hai
kis ne bujhā.e zahr meñ bhāle ye ham kyā jāneñ
ik paanī kī oT meñ saarī duniyā bastī hai
kis ne bhare ā.ankhoñ ke pyāle ye ham kyā jāneñ
khoī huī bheḌeñ haiñ ham jaane kis galle kī
kis din aa jaa.eñ rakhvāle ye ham kyā jāneñ
har din us kā har shab us kī har mausam us kā
kis ne tane ā.ankhoñ par jaale ye ham kyā jāneñ
in hāthoñ kī chhāñv mayassar aa.egī kab tak
kis din peḌ ye chhāñv uThā le ye ham kyā jāneñ
saat sitāre añg tumhāre palak palak taare
kis ne jagā.e ye ujiyāle ye ham kyā jāneñ
maut kī niiñd sulā de 'ḳhālid' kin hāthoñ kī thapak
nezoñ par sar kaun uchhāle ye ham kyā jāneñ
patthar se kya shakl nikale ye hum kya jaanen
aazar kis paikar mein Dhaale ye hum kya jaanen
kaun hawa ka hath baDhae naw ulaT jae
dariya kude kaun uchhaale ye hum kya jaanen
nind bhare halkore len raaten kis ke hathon
kaun charagh-e-subh ujale ye hum kya jaanen
kya kahiye kis zahr ki kaT ragon mein phirti hai
kis ne bujhae zahr mein bhaale ye hum kya jaanen
ek pani ki oT mein sari duniya basti hai
kis ne bhare aaankhon ke pyale ye hum kya jaanen
khoi hui bheDen hain hum jaane kis galle ki
kis din aa jaen rakhwale ye hum kya jaanen
har din us ka har shab us ki har mausam us ka
kis ne tane aaankhon par jale ye hum kya jaanen
in hathon ki chhanw mayassar aaegi kab tak
kis din peD ye chhanw uTha le ye hum kya jaanen
sat sitare ang tumhaare palak palak tare
kis ne jagae ye ujiyale ye hum kya jaanen
maut ki nind sula de 'KHalid' kin hathon ki thapak
nezon par sar kaun uchhaale ye hum kya jaanen
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 530)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.