patthar uThaya usne to majbur ho gae
patthar uThaya usne to majbur ho gae
Saifurrahman Abbad Ghazipuri
MORE BYSaifurrahman Abbad Ghazipuri
patthar uThāyā us ne to majbūr ho ga.e
karte bhī kyā ki shīsha the ham chuur ho ga.e
mere makāñ ke sho.aloñ meñ jalne kī der thī
hālāt us ke baad ba-dastūr ho ga.e
kyoñ zindagī ke raqs meñ shāmil nahīñ haiñ ab
ye jā ke un se pūchh jo ma.azūr ho ga.e
ham āftāb rakh ke rahe inkisār meñ
jugnū milā unheñ to vo maġhrūr ho ga.e
ye haq-kushī kā daur hai is vāste tire
nāhaq mutālibāt bhī manzūr ho ga.e
'abbād' fikr merī thī socheñ mirī magar
niklīñ qalam se jin ke vo mash.hūr ho ga.e
patthar uThaya us ne to majbur ho gae
karte bhi kya ki shisha the hum chur ho gae
mere makan ke shoalon mein jalne ki der thi
haalat us ke baad ba-dastur ho gae
kyon zindagi ke raqs mein shamil nahin hain ab
ye ja ke un se puchh jo mazur ho gae
hum aaftab rakh ke rahe inkisar mein
jugnu mila unhen to wo maghrur ho gae
ye haq-kushi ka daur hai is waste tere
nahaq mutalibaat bhi manzur ho gae
'abbaad' fikr meri thi sochen meri magar
niklin qalam se jin ke wo mashhur ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.