pattharon ki qaid mein ek aabju
pattharoñ kī qaid meñ ik aabjū
be-karāñ niilā samundar chaar sū
reza reza ho gayā huuñ maiñ agar
chuur vo bhī ho chukā hai mū-ba-mū
yaad kā be-nām sā ab lams aur
mere andar mushk-bū hī mushk-bū
oḌh leñ ab raat kī ThanDak tamām
hai isī meñ terī merī aabrū
kaun thā jis ne mujhe tanhā kiyā
chhīn kar mujh se tumhārī aarzū
kyā nazar aaya hai tujh ko abr meñ
kyoñ huā hai is qadar bīmār tū
phuul kī rekhā meñ us ne dekh kar
khīñch dī tasvīr merī hū-ba-hū
phuul ḳhushbū rang kāġhaz aur maiñ
ho rahī hai be-sadā ik guftugū
aks-andar-aks maiñ aa.uuñ nazar
tū agar aa jaa.e mere rū-ba-rū
pattharon ki qaid mein ek aabju
be-karan nila samundar chaar su
reza reza ho gaya hun main agar
chur wo bhi ho chuka hai mu-ba-mu
yaad ka be-nam sa ab lams aur
mere andar mushk-bu hi mushk-bu
oDh len ab raat ki ThanDak tamam
hai isi mein teri meri aabru
kaun tha jis ne mujhe tanha kiya
chhin kar mujh se tumhaari aarzu
kya nazar aaya hai tujh ko abr mein
kyon hua hai is qadar bimar tu
phul ki rekha mein us ne dekh kar
khinch di taswir meri hu-ba-hu
phul KHushbu rang kaghaz aur main
ho rahi hai be-sada ek guftugu
aks-andar-aks main aaun nazar
tu agar aa jae mere ru-ba-ru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.