pattharon ko sunai deta hai
pattharoñ ko sunā.ī detā hai
jo tū aise duhā.ī detā hai
peT ḳhālī ho gar parindoñ kā
daam kis ko dikhā.ī detā hai
koī dushman kabhī nahīñ detā
zaḳhm jaisā ki bhaa.ī detā hai
maiñ hī ḳhud chhoḌtā nahīñ huuñ qafas
vo to mujh ko rihā.ī detā hai
aise ab zāviye se baiThā huuñ
chāroñ-jānib dikhā.ī detā hai
sach to āñkhoñ meñ paḌh liyā 'arshad'
yaar tū kyuuñ safā.ī detā hai
pattharon ko sunai deta hai
jo tu aise duhai deta hai
peT KHali ho gar parindon ka
dam kis ko dikhai deta hai
koi dushman kabhi nahin deta
zaKHm jaisa ki bhai deta hai
main hi KHud chhoDta nahin hun qafas
wo to mujh ko rihai deta hai
aise ab zawiye se baiTha hun
chaaron-jaanib dikhai deta hai
sach to aankhon mein paDh liya 'arshad'
yar tu kyun safai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.