pattharon par likha miTata hun
pattharoñ par likhā miTātā huuñ
is tarah maiñ use bhulātā huuñ
jab bhī Dartī hai zindagī to use
maut ke fā.ede ginātā huuñ
vasl kā tajraba nahīñ hai mujhe
hijr kī shā.erī sunātā huuñ
dil meñ ik maut roz hotī hai
roz ik laash maiñ uThātā huuñ
dard ārām dene lagtā hai
zaḳhm par zaḳhm jab lagātā huuñ
saañs jaatī hai le ke duur mujhe
saañs aatī hai lauT aatā huuñ
pahle kartā huuñ ḳhud use nārāz
aur phir der tak manātā huuñ
raqs kartī haiñ gum-shuda yādeñ
aaj sab aa.ina bujhātā huuñ
jāntā huuñ ki dar khulegā nahīñ
be-sabab chābiyāñ ghumātā huuñ
pattharon par likha miTata hun
is tarah main use bhulata hun
jab bhi Darti hai zindagi to use
maut ke faede ginata hun
wasl ka tajraba nahin hai mujhe
hijr ki shaeri sunata hun
dil mein ek maut roz hoti hai
roz ek lash main uThata hun
dard aaram dene lagta hai
zaKHm par zaKHm jab lagata hun
sans jati hai le ke dur mujhe
sans aati hai lauT aata hun
pahle karta hun KHud use naraaz
aur phir der tak manata hun
raqs karti hain gum-shuda yaaden
aaj sab aaina bujhata hun
jaanta hun ki dar khulega nahin
be-sabab chabiyan ghumata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.