pattharon se na kabhi TuT ke ulfat karna
pattharoñ se na kabhī TuuT ke ulfat karnā
jism shīshe kā nahīñ phir bhī hifāzat karnā
ab na chhū lenā kabhī phuul se ruḳhsāroñ ko
uñgliyāñ apnī jalāne kī na zahmat karnā
jhukne denā na kisī peḌ kī shāḳhoñ kā ġhurūr
Dhalte sūraj se zarā sī to muravvat karnā
ab jo bikhre haiñ dar-o-bām to hairat kaisī
ham ne sīkhā hī na thā ghar kī hifāzat karnā
laakh maujeñ hoñ muḳhālif ki havā ho nārāz
paar is baar bhī dariyā kisī sūrat karnā
pattharon se na kabhi TuT ke ulfat karna
jism shishe ka nahin phir bhi hifazat karna
ab na chhu lena kabhi phul se ruKHsaron ko
ungliyan apni jalane ki na zahmat karna
jhukne dena na kisi peD ki shaKHon ka ghurur
Dhalte suraj se zara si to murawwat karna
ab jo bikhre hain dar-o-baam to hairat kaisi
hum ne sikha hi na tha ghar ki hifazat karna
lakh maujen hon muKHalif ki hawa ho naraaz
par is bar bhi dariya kisi surat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.