patton ke TuTne ki sada der tak chali
pattoñ ke TūTne kī sadā der tak chalī
kal dasht-e-jism-o-jāñ meñ havā der tak chalī
raushan rahīñ nigār-e-hunar kī hatheliyāñ
apnī dukān-e-rang-e-hinā der tak chalī
jab niiñd uḌ ga.ī to sitāre bahut khule
jab raat ghaT ga.ī to havā der tak chalī
ham band kar ke so ga.e ḳhushbū kī khiḌkiyāñ
sunte haiñ raat bād-e-sabā der tak chalī
mahfil meñ chal paḌī thī hamāre junūñ kī baat
phir dāstān-e-chāk-e-qabā der tak chalī
sāhil pe aa ke Duub ga.iiñ sab aqīdateñ
gahre samundaroñ meñ duā der tak chalī
patton ke TuTne ki sada der tak chali
kal dasht-e-jism-o-jaan mein hawa der tak chali
raushan rahin nigar-e-hunar ki hatheliyan
apni dukan-e-rang-e-hina der tak chali
jab nind uD gai to sitare bahut khule
jab raat ghaT gai to hawa der tak chali
hum band kar ke so gae KHushbu ki khiDkiyan
sunte hain raat baad-e-saba der tak chali
mahfil mein chal paDi thi hamare junun ki baat
phir dastan-e-chaak-e-qaba der tak chali
sahil pe aa ke Dub gain sab aqidaten
gahre samundaron mein dua der tak chali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.