pau phaTi subh hui sham hui
pau phaTī sub.h huī shaam huī
zindagī bas yuuñ hī tamām huī
vaqt guzrā guzar ga.iiñ sadiyāñ
nasl-e-insāñ na shād-kām huī
sar jhukāne se qad nahīñ ghaTtā
sar-kashī ḳhud hī zer-e-dām huī
haiñ judā qaumoñ kī bhī taqdīreñ
koī ubhrī koī ġhulām huī
baḌhtī ābādiyoñ ke chalte hue
sab taraqqī barā.e naam huī
pau phaTi subh hui sham hui
zindagi bas yun hi tamam hui
waqt guzra guzar gain sadiyan
nasl-e-insan na shad-kaam hui
sar jhukane se qad nahin ghaTta
sar-kashi KHud hi zer-e-dam hui
hain juda qaumon ki bhi taqdiren
koi ubhri koi ghulam hui
baDhti aabaadiyon ke chalte hue
sab taraqqi barae nam hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.