payam le ke jo paigham-bar rawana hua
payām le ke jo paiġhām-bar ravāna huā
hasad ko hiila milā ashk ko bahāna huā
vo merī aah jo sharminda-e-asar na huī
vo merā dard jo minnat-kash-e-davā na huā
ḳhayāl meñ na rahīñ sūrateñ azīzoñ kī
vatan se chhūTe hue is qadar zamāna huā
vo daaġh jis ko jagah dil meñ dī thī jīte-jī
charāġh bhī to hamāre mazār kā na huā
parī-vashoñ ko sunāte haiñ qissa-ḳhvāñ 'beḳhud'
hamārā haal na Thahrā koī fasāna huā
payam le ke jo paigham-bar rawana hua
hasad ko hila mila ashk ko bahana hua
wo meri aah jo sharminda-e-asar na hui
wo mera dard jo minnat-kash-e-dawa na hua
KHayal mein na rahin suraten azizon ki
watan se chhuTe hue is qadar zamana hua
wo dagh jis ko jagah dil mein di thi jite-ji
charagh bhi to hamare mazar ka na hua
pari-washon ko sunate hain qissa-KHwan 'beKHud'
hamara haal na Thahra koi fasana hua
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 183)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.