pech-dar-pech sawalat mein uljhe hue hain
pech-dar-pech savālāt meñ uljhe hue haiñ
ham ajab sūrat-e-hālāt meñ uljhe hue haiñ
ḳhatm hone kā nahīñ mārka-e-ishq-o-havas
mas.ale saare mafādāt meñ uljhe hue haiñ
kis ḳhasāre meñ nazar hai ki simaT jaatī hai
kuchh abhī dā.era-e-zāt meñ uljhe hue haiñ
in meñ to mujh se ziyāda hai pareshāñ-nazarī
aa.ine shahr-e-kamālāt meñ uljhe hue haiñ
is pe dā'vā bhī ki ye kār-e-masīhā.ī hai
saare az.hān ḳhurāfāt meñ uljhe hue haiñ
kurra-e-ḳhāk pe paḌte hī nahīñ un ke qadam
dīda-var sair-e-tilismāt meñ uljhe hue haiñ
nūr-e-mutlaq kī hai tashbīh na tamsīl magar
ham ishārāt o kināyāt meñ uljhe hue haiñ
pech-dar-pech sawalat mein uljhe hue hain
hum ajab surat-e-haalat mein uljhe hue hain
KHatm hone ka nahin marka-e-ishq-o-hawas
masale sare mafadat mein uljhe hue hain
kis KHasare mein nazar hai ki simaT jati hai
kuchh abhi daera-e-zat mein uljhe hue hain
in mein to mujh se ziyaada hai pareshan-nazari
aaine shahr-e-kamalat mein uljhe hue hain
is pe da'wa bhi ki ye kar-e-masihai hai
sare azhan KHurafat mein uljhe hue hain
kurra-e-KHak pe paDte hi nahin un ke qadam
dida-war sair-e-tilismat mein uljhe hue hain
nur-e-mutlaq ki hai tashbih na tamsil magar
hum ishaaraat o kinayat mein uljhe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.