pech-o-KHam waqt ne sau tarah ubhaare logo
pech-o-ḳham vaqt ne sau tarah ubhāre logo
kākul-e-zīst magar ham ne sañvāre logo
apne saa.e se tumheñ aap hai dahshat-zadagī
tum ho kis maslahat-e-vaqt ke maare logo
ham-safar kis ko kaheñ kis ko sunā.eñ ġham-e-dil
pamba-dar-gosh hue saare sahāre logo
zarbat-e-sañg bane apnī sadā ke ġhunche
gumbad-e-jehd meñ ham jab bhī pukāre logo
mujh se tum duur bhī rah kar ho rag-e-jāñ se qarīb
mire nādīda rafīqo mire pyāre logo
pech-o-KHam waqt ne sau tarah ubhaare logo
kakul-e-zist magar hum ne sanware logo
apne sae se tumhein aap hai dahshat-zadagi
tum ho kis maslahat-e-waqt ke mare logo
ham-safar kis ko kahen kis ko sunaen gham-e-dil
pamba-dar-gosh hue sare sahaare logo
zarbat-e-sang bane apni sada ke ghunche
gumbad-e-jehd mein hum jab bhi pukare logo
mujh se tum dur bhi rah kar ho rag-e-jaan se qarib
mere nadida rafiqo mere pyare logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.