pechaak-e-umr apne sanwar aaine ke sath
pechāk-e-umr apne sañvār aa.ine ke saath
baaqī ke chaar din bhī guzār aa.ine ke saath
hāsid bahut hai pal meñ huvaidā kare ḳhizāñ
itnā na lag ke baiTh bahār aa.ine ke saath
pathrā ga.e haiñ log tajallī se husn kī
thoḌā sā Daal ruḳh pe ġhubār aa.ine ke saath
kartā hai aks zer-o-zabar nā-murād vaqt
jab ghūmtā hai ulTe madār aa.ine ke saath
paayā na kuchh ḳhalā ke sivā aks-e-hairatī
guzrā thā ār-pār hazār aa.ine ke saath
ma.adūm ho rahe haiñ ḳhad-o-ḳhāl kis sabab
guft-o-shunīd kar mire yaar aa.ine ke saath
vīrān sā khañDar hai magar sair ke liye
lagtī hai ik tavīl qatār aa.ine ke saath
ma.akūs o aks kaise haiñ paivast dekh tū
ā.īna kar rahā hai siñghār aa.ine ke saath
pechaak-e-umr apne sanwar aaine ke sath
baqi ke chaar din bhi guzar aaine ke sath
hasid bahut hai pal mein huwaida kare KHizan
itna na lag ke baiTh bahaar aaine ke sath
pathra gae hain log tajalli se husn ki
thoDa sa Dal ruKH pe ghubar aaine ke sath
karta hai aks zer-o-zabar na-murad waqt
jab ghumta hai ulTe madar aaine ke sath
paya na kuchh KHala ke siwa aks-e-hairati
guzra tha aar-par hazar aaine ke sath
madum ho rahe hain KHad-o-KHal kis sabab
guft-o-shunid kar mere yar aaine ke sath
viran sa khanDar hai magar sair ke liye
lagti hai ek tawil qatar aaine ke sath
makus o aks kaise hain paiwast dekh tu
aaina kar raha hai singhaar aaine ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.