peD ehsas ka jazbaat ka phal deta hai
peD ehsas ka jazbaat ka phal deta hai
Saadullah Khan Asar Malkapur
MORE BYSaadullah Khan Asar Malkapur
peḌ ehsās kā jazbāt kā phal detā hai
ye shajar aaj kā hāsil hameñ kal detā hai
hausla kahte haiñ ik rāh-e-amal detā hai
hausla-mand to taqdīr badal detā hai
sab kī yaksāñ hī guzar jaa.e kahāñ hai mumkin
vo to nādān hai jo mūñchh pe bal detā hai
saañp fitrat meñ faqat saañp huā kartā hai
duudh pī letā hai aur zahr ugal detā hai
ai 'asar' kahtī hai duniyā jise insāñ kā zamīr
faisla jab bhī ye detā hai aTal detā hai
peD ehsas ka jazbaat ka phal deta hai
ye shajar aaj ka hasil hamein kal deta hai
hausla kahte hain ek rah-e-amal deta hai
hausla-mand to taqdir badal deta hai
sab ki yaksan hi guzar jae kahan hai mumkin
wo to nadan hai jo munchh pe bal deta hai
sanp fitrat mein faqat sanp hua karta hai
dudh pi leta hai aur zahr ugal deta hai
ai 'asar' kahti hai duniya jise insan ka zamir
faisla jab bhi ye deta hai aTal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.