peD tabir ke hare hote
peḌ ta.abīr ke hare hote
mere gar ḳhvāb nā bike hote
kaash ham ek hī mohalle meñ
mil ke ik saath hī baḌe hote
phir bhī kuchh aasrā to ho jaatā
saath khoToñ ke gar khare hote
ham kabhī rāsta bhaTakte nahīñ
diip rāhoñ meñ gar jale hote
dasht se yuuñ na vāsta paḌtā
ham agar ishq se pare hote
dhuup se dostī agar hotī
mere ghar ke shajar hare hote
maiñ to āvāz de rahī thī tumheñ
do ghaḌī kaash tum ruke hote
peD tabir ke hare hote
mere gar KHwab na bike hote
kash hum ek hi mohalle mein
mil ke ek sath hi baDe hote
phir bhi kuchh aasra to ho jata
sath khoTon ke gar khare hote
hum kabhi rasta bhaTakte nahin
dip rahon mein gar jale hote
dasht se yun na wasta paDta
hum agar ishq se pare hote
dhup se dosti agar hoti
mere ghar ke shajar hare hote
main to aawaz de rahi thi tumhein
do ghaDi kash tum ruke hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.