pesh-e-manzar mein hai kuchh aur kuchh pas-e-manzar mein hai
pesh-e-manzar mein hai kuchh aur kuchh pas-e-manzar mein hai
Qamar Siddiqi
MORE BYQamar Siddiqi
pesh-e-manzar meñ hai kuchh aur kuchh pas-e-manzar meñ hai
kuchh haqīqat kuchh fasāna raam aur bābar meñ hai
ġham ke maaro muḳhtasar hai arsa-e-tīra-shabī
aur is ke baa'd sab kuchh panja-e-dāvar meñ hai
ḳhvāb saare ho ga.e haiñ niiñd se ab māvarā
pesh kar ġhāfil amal koī agar daftar meñ hai
haal maazī aur mustaqbil sabhī to us ke haiñ
hastī apnī us kī ḳhātir sīġha-e-masdar meñ hai
qātilā ḳhanjar tirā us aab se mahrūm hai
ik chamak bijlī sī jo bismil ke ab tevar meñ hai
chār-sū ik hū kā aalam har taraf sannāTā hai
ab 'qamar' bhī yuuñ hī sā be-kār baiThā ghar meñ hai
pesh-e-manzar mein hai kuchh aur kuchh pas-e-manzar mein hai
kuchh haqiqat kuchh fasana ram aur babar mein hai
gham ke maro muKHtasar hai arsa-e-tira-shabi
aur is ke ba'd sab kuchh panja-e-dawar mein hai
KHwab sare ho gae hain nind se ab mawara
pesh kar ghafil amal koi agar daftar mein hai
haal mazi aur mustaqbil sabhi to us ke hain
hasti apni us ki KHatir sigha-e-masdar mein hai
qatila KHanjar tera us aab se mahrum hai
ek chamak bijli si jo bismil ke ab tewar mein hai
chaar-su ek hu ka aalam har taraf sannaTa hai
ab 'qamar' bhi yun hi sa be-kar baiTha ghar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.