pesh-e-nazar hai naza mein naqsha-nigar ka
pesh-e-nazar hai naza mein naqsha-nigar ka
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
pesh-e-nazar hai naza.a meñ naqsha-nigār kā
jalva ḳhizāñ dikhātī hai mujh ko bahār kā
surme se rutba kam nahīñ apne ġhubār kā
hai sañg-e-tūr sañg hamārī mazār kā
hai bād-e-marg shauq hameñ dīd-e-yār kā
chilman kā haal hai kafan-e-tār-tār kā
tiira iqāmat apnī ho bāġh-e-jahāñ meñ kyā
āvāz ar-rahīl hai naala hazār kā
hai apne soz-e-dil kā dimāġh āsmān par
partav hai āftāb dil-e-dāġh-dār kā
ai jān-e-pāk kar na tan-o-tosh par ġhurūr
hai hāl-e-jism pairahan-e-musta.ār kā
tayyār ḳhāk-e-gor se hote haiñ jām-e-mai
ba.ad-e-fanā bhī rañj hai mujh ko ḳhumār kā
pesh-e-nazar hai naza mein naqsha-nigar ka
jalwa KHizan dikhati hai mujh ko bahaar ka
surme se rutba kam nahin apne ghubar ka
hai sang-e-tur sang hamari mazar ka
hai baad-e-marg shauq hamein did-e-yar ka
chilman ka haal hai kafan-e-tar-tar ka
tera iqamat apni ho bagh-e-jahan mein kya
aawaz ar-rahil hai nala hazar ka
hai apne soz-e-dil ka dimagh aasman par
partaw hai aaftab dil-e-dagh-dar ka
ai jaan-e-pak kar na tan-o-tosh par ghurur
hai haal-e-jism pairahan-e-mustaar ka
tayyar KHak-e-gor se hote hain jam-e-mai
baad-e-fana bhi ranj hai mujh ko KHumar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.