pesh-e-nazar nahin hai jo kuchh din se ru-e-dost
pesh-e-nazar nahīñ hai jo kuchh din se rū-e-dost
bechain kar rahī hai bahut ārzū-e-dost
āñkhoñ se duur ho bhī ga.e vo to kyā huā
dil meñ basī huī hai tamannā-e-rū-e-dost
gulzār-e-āshiqī kī fazā pur-bahār hai
phailā huā hai chaar taraf rang-o-bū-e-dost
kānoñ meñ aa rahī hai barābar vahī sadā
bhūlī nahīñ hai dil ko mire guftugū-e-dost
gūñjī huī fazā meñ hai vo saut-e-jāñ-navāz
allah re lutf-o-soz-e-navā-e-gulū-e-dost
haiñ mun.akis tamām nuqūsh-e-jamāl-e-yār
dil ek aa.ina hai ki hai rū-ba-rū-e-dost
har dam bahār jalva-e-jānāñ hai nau-ba-nau
hairāñ huuñ dekh dekh ke josh-e-numū-e-dost
parvā nahīñ jo rāh-e-mohabbat meñ sar gayā
ham jaan de ke ho to ga.e surḳh-rū-e-dost
iqrār meñ to ḳhair numāyāñ thā lutf-e-yār
inkār meñ bhī haa.e vo tarz-e-nikū-e-dost
dīvāngī meñ ham ne ye dil se kahā thā kal
tujh ko qasam hai aaj se dekhe jo rū-e-dost
lekin junūn-e-shauq kī aa.ī jo ek lahr
mastānā-vār chal hī diye ham ba-kū-e-dost
zāhid fareb-e-sāġhar-e-kausar 'jalīl' ko
jo kar chukā hai bai'at-e-jām-o-subū-e-dost
pesh-e-nazar nahin hai jo kuchh din se ru-e-dost
bechain kar rahi hai bahut aarzu-e-dost
aankhon se dur ho bhi gae wo to kya hua
dil mein basi hui hai tamanna-e-ru-e-dost
gulzar-e-ashiqi ki faza pur-bahaar hai
phaila hua hai chaar taraf rang-o-bu-e-dost
kanon mein aa rahi hai barabar wahi sada
bhuli nahin hai dil ko mere guftugu-e-dost
gunji hui faza mein hai wo saut-e-jaan-nawaz
allah re lutf-o-soz-e-nawa-e-gulu-e-dost
hain munakis tamam nuqush-e-jamal-e-yar
dil ek aaina hai ki hai ru-ba-ru-e-dost
har dam bahaar jalwa-e-jaanan hai nau-ba-nau
hairan hun dekh dekh ke josh-e-numu-e-dost
parwa nahin jo rah-e-mohabbat mein sar gaya
hum jaan de ke ho to gae surKH-ru-e-dost
iqrar mein to KHair numayan tha lutf-e-yar
inkar mein bhi hae wo tarz-e-niku-e-dost
diwangi mein hum ne ye dil se kaha tha kal
tujh ko qasam hai aaj se dekhe jo ru-e-dost
lekin junun-e-shauq ki aai jo ek lahr
mastana-war chal hi diye hum ba-ku-e-dost
zahid fareb-e-saghar-e-kausar 'jalil' ko
jo kar chuka hai bai'at-e-jam-o-subu-e-dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.