pesh har ahd ko ek tegh ka imkan kyun hai
pesh har ahd ko ik teġh kā imkāñ kyuuñ hai
har nayā daur na.e ḳhauf meñ ġhaltāñ kyuuñ hai
shahr ke shahr hī behosh paḌe pūchhte haiñ
zindagī apne amal-dāroñ se nālāñ kyuuñ hai
aa.ina aks mo.attal to nahīñ kartā kabhī
itnā be-āb magar ā.īna-e-jāñ kyuuñ hai
phir se matlūb-e-ḳhalā.iq hai gavāhī koī
bar-sar-e-koh-e-siyah shola-e-larzāñ kyuuñ hai
ye amal hai ḳhas-o-ḳhāshāk kī chhidrā.ī kā
rañg-e-rañgīn-e-gul-o-lāla pareshāñ kyuuñ hai
pesh har ahd ko ek tegh ka imkan kyun hai
har naya daur nae KHauf mein ghaltan kyun hai
shahr ke shahr hi behosh paDe puchhte hain
zindagi apne amal-daron se nalan kyun hai
aaina aks moattal to nahin karta kabhi
itna be-ab magar aaina-e-jaan kyun hai
phir se matlub-e-KHalaiq hai gawahi koi
bar-sar-e-koh-e-siyah shola-e-larzan kyun hai
ye amal hai KHas-o-KHashak ki chhidrai ka
rang-e-rangin-e-gul-o-lala pareshan kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.