Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pesh-KHema ye kisi ek musibat ka nahin

Jahanzeb Sahir

pesh-KHema ye kisi ek musibat ka nahin

Jahanzeb Sahir

MORE BYJahanzeb Sahir

    pesh-ḳhema ye kisī ek musībat nahīñ

    dukh hai kuchh aur mirī jaan masāfat nahīñ

    ham mazāfāt se aa.e hue logoñ miyāñ

    mas.ala rizq hotā hai mohabbat nahīñ

    jism jiit koī jiit nahīñ mere liye

    ye vo sāmān hai jo merī zarūrat nahīñ

    thoḌī koshish se aa jaatī hai ab niiñd mujhe

    is matlab hai ki vo merī tabī.at nahīñ

    ye to ḳhud chal ke nishāne pe lage haiñ tere

    daḳhl is meñ to koī terī mahārat nahīñ

    roz dariyā meñ jo ik phuul bahā detā huuñ

    ye kisī dukh ishāra hai aqīdat nahīñ

    ham haiñ haare hue lashkar ke sipāhī 'sāhir'

    fā.eda ham ko kisī bhī himāyat nahīñ

    pesh-KHema ye kisi ek musibat ka nahin

    dukh hai kuchh aur meri jaan masafat ka nahin

    hum mazafat se aae hue logon ka miyan

    masala rizq ka hota hai mohabbat ka nahin

    jism ki jit koi jit nahin mere liye

    ye wo saman hai jo meri zarurat ka nahin

    thoDi koshish se hi aa jati hai ab nind mujhe

    is ka matlab hai ki wo meri tabiat ka nahin

    ye to KHud chal ke nishane pe lage hain tere

    daKHl is mein to koi teri mahaarat ka nahin

    roz dariya mein jo ek phul baha deta hun

    ye kisi dukh ka ishaara hai aqidat ka nahin

    hum hain haare hue lashkar ke sipahi 'sahir'

    faeda hum ko kisi ki bhi himayat ka nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now