phail rahe hain waqt ke sae
phail rahe haiñ vaqt ke saa.e
dekheñ raat kahāñ tak jaa.e
dīda-o-dil kī baat na pūchho
ek lagā.e ek bujhā.e
aaj ye hai mausam kā taqāzā
zulf tirī khul kar lahrā.e
in āñkhoñ se motī barse
in hoñToñ ne phuul khilā.e
dekh-bhāl kar zahr piyā hai
soch-samajh kar dhoke khaa.e
aaj vo tanhā raat kaTī hai
aañsū tak āñkhoñ meñ na aa.e
'saif' zamāna samjhātā hai
kaun apne haiñ kaun parā.e
phail rahe hain waqt ke sae
dekhen raat kahan tak jae
dida-o-dil ki baat na puchho
ek lagae ek bujhae
aaj ye hai mausam ka taqaza
zulf teri khul kar lahrae
in aankhon se moti barse
in honTon ne phul khilae
dekh-bhaal kar zahr piya hai
soch-samajh kar dhoke khae
aaj wo tanha raat kaTi hai
aansu tak aankhon mein na aae
'saif' zamana samjhata hai
kaun apne hain kaun parae
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 40)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.