phaila hai jal baam pe zulf-e-daraaz ka
phailā hai jaal baam pe zulf-e-darāz kā
totā uḌe na haath se ahl-e-niyāz kā
dekhī nahīñ hai tum ne hamārī patañg abhī
kyā naam le rahe ho havā.ī-jahāz kā
aamad principal kī hai hoshyār laḌkiyo
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-hā-e-nāz kā
gōgle lagā ke aañkh pe chalne lage hasīñ
vo lutf ab kahāñ nigah-e-nīm-bāz kā
piite nahīñ haiñ des ke sevak bides kī
chukkaḌ pilāo un ko mai-ḳhāna-sāz kā
ai bahr-e-shauq itnā talātum hai nāravā
mastūl gir na jaa.e ḳhirad ke jahāz kā
'hāshim' vo dekhtā jo kisī teddy boy ko
mahmūd naam letā nā hargiz ayaaz kā
phaila hai jal baam pe zulf-e-daraaz ka
tota uDe na hath se ahl-e-niyaz ka
dekhi nahin hai tum ne hamari patang abhi
kya nam le rahe ho hawai-jahaz ka
aamad principal ki hai hoshyar laDkiyo
ye waqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naz ka
google laga ke aankh pe chalne lage hasin
wo lutf ab kahan nigah-e-nim-baz ka
pite nahin hain des ke sewak bides ki
chukkaD pilao un ko mai-KHana-saz ka
ai bahr-e-shauq itna talatum hai narawa
mastul gir na jae KHirad ke jahaz ka
'hashim' wo dekhta jo kisi teddy boy ko
mahmud nam leta na hargiz ayaz ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.