phaila ke KHud ko dekh zara ishtihaar de
phailā ke ḳhud ko dekh zarā ishtihār de
jab tak na dar khule tū sadā baar baar de
āñgan meñ āftāb utāregā phir kabhī
pahle hamāre ghar meñ ik āñgan utaar de
masjid se lā-ilah kī sadā aa.e baar baar
gumbad ke saath hī koī ūñchā manār de
dard-e-anā kī ḳhaak meñ lipTe hue haiñ log
āñkhoñ ko aa.ina de nazar ko hisār de
rusvā.iyoñ ke jism se utre thakan kī dhuul
Thahrī huī nadī ko koī ābshār de
mahsūs kar sakeñ na ham pichhle pahar kā kaif
dard-e-firāq meñ bhī ik ḳhanjar utaar de
pūchheñ ham apne paañv ke chhāle is kā raaz
is rahguzar ko ik shajar-e-sāya-dār de
nafrat ke kungre pe mohabbat kā rakh charāġh
biite dinoñ kī yaad na aa.e vo pyaar de
'mansūr' maiñ charāġhāñ karūñgā chahār sū
mere jigar ko bhī vahī soz-o-sharār de
phaila ke KHud ko dekh zara ishtihaar de
jab tak na dar khule tu sada bar bar de
aangan mein aaftab utarega phir kabhi
pahle hamare ghar mein ek aangan utar de
masjid se la-ilah ki sada aae bar bar
gumbad ke sath hi koi uncha manar de
dard-e-ana ki KHak mein lipTe hue hain log
aankhon ko aaina de nazar ko hisar de
ruswaiyon ke jism se utre thakan ki dhul
Thahri hui nadi ko koi aabshaar de
mahsus kar saken na hum pichhle pahar ka kaif
dard-e-firaq mein bhi ek KHanjar utar de
puchhen hum apne panw ke chhaale is ka raaz
is rahguzar ko ek shajar-e-saya-dar de
nafrat ke kungre pe mohabbat ka rakh charagh
bite dinon ki yaad na aae wo pyar de
'mansur' main charaghan karunga chahaar su
mere jigar ko bhi wahi soz-o-sharar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.