phaila ke sar pe dard ki chadar chala gaya
Interesting Fact
1970
phailā ke sar pe dard kī chādar chalā gayā
ik shaḳhs merī ruuh pe nashtar chalā gayā
mujh se ḳhatā huī thī ki aisī mirā ḳhudā
nārāz ho ke shahr se bāhar chalā gayā
shīshe lahūluhān paḌe haiñ jo farsh par
khiḌkī pe koī maar ke patthar chalā gayā
bāhar kā shor itnā garāñ thā ki bahr-e-amn
har shaḳhs apnī zaat ke andar chalā gayā
Thahrā thā aa ke ek musāfir kabhī yahāñ
phir shahr-e-tan ko aag lagā kar chalā gayā
kābuk ko ḳhālī dekh ke kuḌhtā hai dil mirā
jaane kahāñ safed kabūtar chalā gayā
sūraj bhī thak ke Duub gayā shaam ho ga.ī
din-bhar jo mere saath thā vo ghar chalā gayā
āḳhir saroñ pe dhuup kī dīvār gir paḌī
achchhā huā maiñ saa.e se uTh kar chalā gayā
'naqqāsh' dil meñ pyaas kī kīleñ gaḌī rahīñ
qadmoñ meñ aa ke ek samundar chalā gayā
phaila ke sar pe dard ki chadar chala gaya
ek shaKHs meri ruh pe nashtar chala gaya
mujh se KHata hui thi ki aisi mera KHuda
naraaz ho ke shahr se bahar chala gaya
shishe lahuluhan paDe hain jo farsh par
khiDki pe koi mar ke patthar chala gaya
bahar ka shor itna garan tha ki bahr-e-amn
har shaKHs apni zat ke andar chala gaya
Thahra tha aa ke ek musafir kabhi yahan
phir shahr-e-tan ko aag laga kar chala gaya
kabuk ko KHali dekh ke kuDhta hai dil mera
jaane kahan safed kabutar chala gaya
suraj bhi thak ke Dub gaya sham ho gai
din-bhar jo mere sath tha wo ghar chala gaya
aaKHir saron pe dhup ki diwar gir paDi
achchha hua main sae se uTh kar chala gaya
'naqqash' dil mein pyas ki kilen gaDi rahin
qadmon mein aa ke ek samundar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.