phaile hue hain sae dar-o-baam par abhi
phaile hue hain sae dar-o-baam par abhi
Qazi Syed Khursheeduddeen Khursheed
MORE BYQazi Syed Khursheeduddeen Khursheed
phaile hue haiñ saa.e dar-o-bām par abhī
ubhrī nahīñ hai azmat-e-nūr-e-sahar abhī
kyoñ jazba-e-talab ko nahīñ shauq-e-justujū
jalte to haiñ charāġh sar-e-rahguzar abhī
ḳhud hī jo baḌh ke thaam leñ dāman hayāt kā
itne kahāñ haiñ ahl-e-junūñ mo'atabar abhī
ai rahravān-e-rāh-e-tamannā baḌhe chalo
pahuñche nahīñ ho manzil-e-maqsūd par abhī
kitne bujhe bujhe se haiñ sho.ale hayāt ke
kitne udaas udaas haiñ shām-o-sahar abhī
kitnā badal gayā hai shu.ūr-e-mazāq-e-ġham
kitne fareb dete haiñ ahl-e-nazar abhī
hai kā.enāt-e-azmat-e-shaddād jalva-gar
insāniyat sisaktī hai har gaam par abhī
haiñ dāman-e-ḳhizāñ meñ bahāroñ kī azmateñ
nā-āshnā sukūñ se haiñ ahl-e-hunar abhī
'ḳhurshīd' jis se zulmat-e-shab faizyāb ho
āñkhoñ se duur hai vo ziyā-e-sahar abhī
phaile hue hain sae dar-o-baam par abhi
ubhri nahin hai azmat-e-nur-e-sahar abhi
kyon jazba-e-talab ko nahin shauq-e-justuju
jalte to hain charagh sar-e-rahguzar abhi
KHud hi jo baDh ke tham len daman hayat ka
itne kahan hain ahl-e-junun mo'atabar abhi
ai rahrawan-e-rah-e-tamanna baDhe chalo
pahunche nahin ho manzil-e-maqsud par abhi
kitne bujhe bujhe se hain shoale hayat ke
kitne udas udas hain sham-o-sahar abhi
kitna badal gaya hai shuur-e-mazaq-e-gham
kitne fareb dete hain ahl-e-nazar abhi
hai kaenat-e-azmat-e-shaddad jalwa-gar
insaniyat sisakti hai har gam par abhi
hain daman-e-KHizan mein bahaaron ki azmaten
na-ashna sukun se hain ahl-e-hunar abhi
'KHurshid' jis se zulmat-e-shab faizyab ho
aankhon se dur hai wo ziya-e-sahar abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.