phaili hui hai har-su dil-doz tirgi si
phailī huī hai har-sū dil-doz tīrgī sī
allah-re vo udāsī TuuTe hue diloñ kī
kāvish ke bāñkpan sī an-thak sī ik thakan sī
ik surḳh-rū sī saa.at ab rū-ba-rū khaḌī thī
albelī chāhatoñ sī pur-kaif tishnagī sī
bāñhoñ meñ bas ga.ī thī ik aañch qurbatoñ kī
ġham-hā-e-zindagī se hai rū-shanās yuuñ dil
ḳhushiyāñ nasīb hoñ to lagtī haiñ ajnabī sī
aahaT pe kaan har-dam thā intizār itnā
ma.alūm hī nahīñ thā ik umr kaT ga.ī thī
ik narm-rau sī nik.hat kuchh kah ga.ī hai dil ko
ab yaad aa rahī haiñ TuuTī rifāqateñ bhī
gaane lage sitāre lorī fazā fazā meñ
ab vaqt ko bhī shāyad kuchh niiñd aa ga.ī thī
dekhā jo ġhaur se to kirdār meñ tire kuchh
gahrī sī ek nisbat past-o-buland meñ thī
har sub.h chāhtī hai jalve na.e na.e se
har shaam māñgtī hai qurbat kisī hasīñ kī
bā-hosh jalvatoñ meñ sarmast ḳhalvatoñ meñ
nikhrī supurdagī thī pur-kaif qurbatoñ kī
kuchh ḳhush-nasīb lamhe jannat kī naġhmagī se
mānūsiyat halāvat nuz.hat rachī basī sī
ik unsurī tahārat rūh-e-ravāñ hai yaksar
ai ishq tere dam se jagmag hai zindagī kī
kuchh zaḳhm zaḳhm jaisī kuchh marham-e-rifāqat
kuchh ḳhud se dushmanī thī kuchh ḳhud se dostī thī
ab gūñjtā hai har-sū ik āshtī kā naġhma
raas aa ga.ī hai shāyad dil ko qalandarī hī
phaili hui hai har-su dil-doz tirgi si
allah-re wo udasi TuTe hue dilon ki
kawish ke bankpan si an-thak si ek thakan si
ek surKH-ru si saat ab ru-ba-ru khaDi thi
albeli chahaton si pur-kaif tishnagi si
banhon mein bas gai thi ek aanch qurbaton ki
gham-ha-e-zindagi se hai ru-shanas yun dil
KHushiyan nasib hon to lagti hain ajnabi si
aahaT pe kan har-dam tha intizar itna
malum hi nahin tha ek umr kaT gai thi
ek narm-rau si nikhat kuchh kah gai hai dil ko
ab yaad aa rahi hain TuTi rifaqaten bhi
gane lage sitare lori faza faza mein
ab waqt ko bhi shayad kuchh nind aa gai thi
dekha jo ghaur se to kirdar mein tere kuchh
gahri si ek nisbat past-o-buland mein thi
har subh chahti hai jalwe nae nae se
har sham mangti hai qurbat kisi hasin ki
ba-hosh jalwaton mein sarmast KHalwaton mein
nikhri supurdagi thi pur-kaif qurbaton ki
kuchh KHush-nasib lamhe jannat ki naghmagi se
manusiyat halawat nuzhat rachi basi si
ek unsuri tahaarat ruh-e-rawan hai yaksar
ai ishq tere dam se jagmag hai zindagi ki
kuchh zaKHm zaKHm jaisi kuchh marham-e-rifaqat
kuchh KHud se dushmani thi kuchh KHud se dosti thi
ab gunjta hai har-su ek aashti ka naghma
ras aa gai hai shayad dil ko qalandari hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.