phal jo angnai ki diwaron se bahar aaenge
phal jo añgnā.ī kī dīvāroñ se bāhar ā.eñge
ai darḳhto soch lo tum par bhī patthar ā.eñge
har qadam chauñkā.eñge jo manziloñ kī raah meñ
soch kar chalnā yahāñ aise bhī manzar ā.eñge
bas isī ummīd par kaaTe haiñ ham ne roz-o-shab
kuchh na.e jugnū chamakte apne bhī ghar ā.eñge
ham yahāñ pahuñche haiñ rakh kar apne hī siine pe paañv
dekhnā hai kaun se ilzām ab sar ā.eñge
jaan dene ke liye maqtal bhī hai ḳhud āshnā
jab bhī ā.eñge to ham bhī muskurā kar ā.eñge
phal jo angnai ki diwaron se bahar aaenge
ai darKHto soch lo tum par bhi patthar aaenge
har qadam chaunkaenge jo manzilon ki rah mein
soch kar chalna yahan aise bhi manzar aaenge
bas isi ummid par kaTe hain hum ne roz-o-shab
kuchh nae jugnu chamakte apne bhi ghar aaenge
hum yahan pahunche hain rakh kar apne hi sine pe panw
dekhna hai kaun se ilzam ab sar aaenge
jaan dene ke liye maqtal bhi hai KHud aashna
jab bhi aaenge to hum bhi muskura kar aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.