phal phenk ke hamsae ke ghar tang karega
phal pheñk ke hamsā.e ke ghar tañg karegā
ik roz ye āñgan kā shajar tañg karegā
lagtā thā bichhaḌ ke maiñ bahā lūñgī do aañsū
ma.alūm na thā dīda-e-tar tañg karegā
hañs kar tujhe miltī huuñ to ye baat bhī sun le
maiñ ro bhī paḌūñgī to agar tañg karegā
ḳhush-fahmiyāñ tā-umr nahīñ saath nibhātīñ
ik roz tujhe husn-e-nazar tañg karegā
is vāste tanhā use jaane nahīñ detī
jugnū ko añdheroñ kā safar tañg karegā
kuchh roz use dekh ke yaad ā.eñgī chiḌiyāñ
kuchh roz ye TuuTā huā par tañg karegā
sab kahne kī bāteñ haiñ ye iḳhlās-o-muravvat
mat is pe yaqīñ kar vo 'qamar' tañg karegā
phal phenk ke hamsae ke ghar tang karega
ek roz ye aangan ka shajar tang karega
lagta tha bichhaD ke main baha lungi do aansu
malum na tha dida-e-tar tang karega
hans kar tujhe milti hun to ye baat bhi sun le
main ro bhi paDungi to agar tang karega
KHush-fahmiyan ta-umr nahin sath nibhatin
ek roz tujhe husn-e-nazar tang karega
is waste tanha use jaane nahin deti
jugnu ko andheron ka safar tang karega
kuchh roz use dekh ke yaad aaengi chiDiyan
kuchh roz ye TuTa hua par tang karega
sab kahne ki baaten hain ye iKHlas-o-murawwat
mat is pe yaqin kar wo 'qamar' tang karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.