phalon ne kho diya jis din se zaiqa apna
phaloñ ne kho diyā jis din se zā.iqa apnā
kisī ne peḌ se rakkhā na rābta apnā
sulagtī dhuup mirā imtihān kyā legī
janāb-e-'mīr' se miltā hai silsila apnā
hamāre lafzoñ ne baḳhshī kitāb ko azmat
varaq to saare tumhāre the hāshiya apnā
na jaane kaun sī aafat idhar se guzregī
parind chhoḌ ke jaate haiñ ghoñsla apnā
na baiThne kā salīqa na guftugū kā shu.ūr
ajiib logoñ se paḌtā hai sābiqa apnā
mirā makān khañDar ho gayā hai ai 'jāved'
na jaane kab vo sunā.egā faisla apnā
phalon ne kho diya jis din se zaiqa apna
kisi ne peD se rakkha na rabta apna
sulagti dhup mera imtihan kya legi
janab-e-'mir' se milta hai silsila apna
hamare lafzon ne baKHshi kitab ko azmat
waraq to sare tumhaare the hashiya apna
na jaane kaun si aafat idhar se guzregi
parind chhoD ke jate hain ghonsla apna
na baiThne ka saliqa na guftugu ka shuur
ajib logon se paDta hai sabiqa apna
mera makan khanDar ho gaya hai ai 'jawed'
na jaane kab wo sunaega faisla apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.