phenka hai jis ne jal sitaron ke aas-pas
pheñkā hai jis ne jaal sitāroñ ke ās-pās
vo bhī bhaTak rahā hai sahāroñ ke ās-pās
apnī dukān aap kahāñ tak bachā.eñge
sho.ale panap rahe haiñ sharāroñ ke ās-pās
jumle dhule-dhule hoñ to ye maan lījiye
dushman chhupe haiñ rāh-guzāroñ ke ās-pās
motī nikālnā hai to gahre meñ aa.iye
chhīñTe uḌā.iye na kināroñ ke ās-pās
ab tishnagī bujhā.iye ḳhvāboñ ko bech kar
kyā pā.iyegā jhūTe nazāroñ ke ās-pās
phenka hai jis ne jal sitaron ke aas-pas
wo bhi bhaTak raha hai sahaaron ke aas-pas
apni dukan aap kahan tak bachaenge
shoale panap rahe hain shararon ke aas-pas
jumle dhule-dhule hon to ye man lijiye
dushman chhupe hain rah-guzaron ke aas-pas
moti nikalna hai to gahre mein aaiye
chhinTe uDaiye na kinaron ke aas-pas
ab tishnagi bujhaiye KHwabon ko bech kar
kya paiyega jhuTe nazaron ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.