phika phika hai rang kajal ka
phīkā phīkā hai rang kājal kā
kyā irāda hai aaj bādal kā
mere talvoñ ne ḳhaar chun Daale
lutf baaqī rahā na jañgal kā
husn maġhrūr ho gayā hai ab
ek Tiika lagā ke sandal kā
shaiḳh aate haiñ is taraf shāyad
kaag uḌne lagā hai botal kā
mere qātil kī sādgī dekho
rāsta pūchhtā hai maqtal kā
phika phika hai rang kajal ka
kya irada hai aaj baadal ka
mere talwon ne KHar chun Dale
lutf baqi raha na jangal ka
husn maghrur ho gaya hai ab
ek Tika laga ke sandal ka
shaiKH aate hain is taraf shayad
kag uDne laga hai botal ka
mere qatil ki sadgi dekho
rasta puchhta hai maqtal ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.