phir aapne dekha hai mohabbat ki nazar se
phir aap ne dekhā hai mohabbat kī nazar se
guzre na kahīñ gardish-e-daurāñ bhī idhar se
pūchheñ to zarā pech-o-ḳham-e-rāh kī bāteñ
kuchh log abhī lauT ke aa.e haiñ safar se
shāyad kahīñ sūraj kī kiran shaam ko phūTe
ham sham.a jalā.e hue baiThe haiñ sahar se
logo mirī āshufta-sarī par na karo tanz
ilzām utāro koī us zulf ke sar se
dekhā na unheñ dīda-e-hairat ne dobāra
jalvoñ ko shikāyat hai mirī tāb-e-nazar se
ḳhushbū-e-gul-o-lāla chhupā lete haiñ patte
ab qadr-e-hunar hai to faqat arz-e-hunar se
taare to chamak apnī dikhāte haiñ sahar tak
dil Dūbne lagtā hai magar pichhle pahar se
ġhairoñ kī nigāheñ tire jalvoñ se haiñ sairāb
ai kaash ye bādal mirī āñkhoñ pe bhī barse
zulmat hī ke saa.e meñ sukūñ DhūñDiye 'maz.har'
ḳhairāt bahut maañg chuke nūr-e-sahar se
phir aap ne dekha hai mohabbat ki nazar se
guzre na kahin gardish-e-dauran bhi idhar se
puchhen to zara pech-o-KHam-e-rah ki baaten
kuchh log abhi lauT ke aae hain safar se
shayad kahin suraj ki kiran sham ko phuTe
hum shama jalae hue baiThe hain sahar se
logo meri aashufta-sari par na karo tanz
ilzam utaro koi us zulf ke sar se
dekha na unhen dida-e-hairat ne dobara
jalwon ko shikayat hai meri tab-e-nazar se
KHushbu-e-gul-o-lala chhupa lete hain patte
ab qadr-e-hunar hai to faqat arz-e-hunar se
tare to chamak apni dikhate hain sahar tak
dil Dubne lagta hai magar pichhle pahar se
ghairon ki nigahen tere jalwon se hain sairab
ai kash ye baadal meri aankhon pe bhi barse
zulmat hi ke sae mein sukun DhunDiye 'mazhar'
KHairaat bahut mang chuke nur-e-sahar se
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 213)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.