phir andheri rah mein koi diya mil jaega
phir andheri rah mein koi diya mil jaega
Hidayatullah Khan Shamsi
MORE BYHidayatullah Khan Shamsi
phir añdherī raah meñ koī diyā mil jā.egā
tum akele ghar se niklo qāfila mil jā.egā
tañg-zarfī ḳhushk kar Dālegī dariyā dekh le
ham ko kyā koī samundar dūsrā mil jā.egā
kar rahā huuñ maiñ ta.āqub gardish-e-ayyām kā
ik na ik din zindagī terā patā mil jā.egā
āñdhiyo aa jaao khul kar maiñ charāġh-e-tūr huuñ
mujh se Takrāne kā tum ko bhī maza mil jā.egā
tañg mat kar ai zamīñ kar deñ ishāra ik agar
āsmānoñ se bhī ham ko aasrā mil jā.egā
sañg-e-furqat maar kar mat jaao mujh ko chhoḌ kar
dil kā shīsha toḌne se yaar kyā mil jā.egā
sāhiloñ par rahne vaalo ik zarā āvāz do
ġharq hotī kashtiyoñ ko hausla mil jā.egā
phir andheri rah mein koi diya mil jaega
tum akele ghar se niklo qafila mil jaega
tang-zarfi KHushk kar Dalegi dariya dekh le
hum ko kya koi samundar dusra mil jaega
kar raha hun main taaqub gardish-e-ayyam ka
ek na ek din zindagi tera pata mil jaega
aandhiyo aa jao khul kar main charagh-e-tur hun
mujh se Takrane ka tum ko bhi maza mil jaega
tang mat kar ai zamin kar den ishaara ek agar
aasmanon se bhi hum ko aasra mil jaega
sang-e-furqat mar kar mat jao mujh ko chhoD kar
dil ka shisha toDne se yar kya mil jaega
sahilon par rahne walo ek zara aawaz do
gharq hoti kashtiyon ko hausla mil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.