phir bhi hai tumko masihai ka dawa dekho
phir bhī hai tum ko masīhā.ī kā da.avā dekho
mujh ko dekho mire marne kī tamanna dekho
ham na kahte the banāvaT hai ye saarā ġhussa
hañs ke lo phir vo unhoñ ne hameñ dekhā dekho
ghar se har-vaqt nikal aate ho khole hue baal
shaam dekho na mirī jaan saverā dekho
mahfil-e-ġhair meñ be-parda tumheñ dekh liyā
ab kabhī ham se ḳhabar-dār na chhupnā dekho
ḳhāna-e-jāñ meñ numūdār hai ik paikar-e-nūr
hasrato aao ruḳh-e-yār kā jalva dekho
dil ko rangīnī-e-ḳhvāhish kī ḳhatā par āḳhir
miltī hai us gul-e-ra.anā se sazā kyā dekho
sāmne sab ke munāsib nahīñ ham par ye itaab
sar se Dhal jaa.e na ġhusse meñ dupaTTa dekho
mar-miTe ham to kabhī yaad bhī tum ne na kiyā
ab mohabbat kā na karnā kabhī da.avā dekho
sar kahīñ baal kahīñ haath kahīñ paañv kahīñ
un kā sonā bhī hai kis shaan kā sonā dekho
ab vo shoḳhī se ye kahte haiñ sitamgar haiñ jo ham
dil kisī aur se kuchh roz ko bahlā dekho
vā.izo muñh meñ tumhāre bhī bhar aa.e paanī
mai-e-rañgīñ kā jo sāġhar se chhalaknā dekho
baat kyā hai jo hue jaate ho tum yūñhī ḳhafā
mujh ko dekho na mire dil kā dhḌaknā dekho
jurm-e-nazzāra pe kaun itnī ḳhushāmad kartā
ab vo rūThe haiñ lo aur tamāshā dekho
mastī-e-husn se apnī bhī nahīñ tum ko ḳhabar
kyā suno arz mirī haal mirā kyā dekho
dosto tark-e-mohabbat kī nasīhat hai fuzūl
aur na maano to dil-e-zār ko samjhā dekho
havas-e-dīd miTī hai na miTegī 'hasrat'
dekhne ke liye chāho unheñ jitnā dekho
phir bhi hai tum ko masihai ka dawa dekho
mujh ko dekho mere marne ki tamanna dekho
hum na kahte the banawaT hai ye sara ghussa
hans ke lo phir wo unhon ne hamein dekha dekho
ghar se har-waqt nikal aate ho khole hue baal
sham dekho na meri jaan sawera dekho
mahfil-e-ghair mein be-parda tumhein dekh liya
ab kabhi hum se KHabar-dar na chhupna dekho
KHana-e-jaan mein numudar hai ek paikar-e-nur
hasrato aao ruKH-e-yar ka jalwa dekho
dil ko rangini-e-KHwahish ki KHata par aaKHir
milti hai us gul-e-rana se saza kya dekho
samne sab ke munasib nahin hum par ye itab
sar se Dhal jae na ghusse mein dupaTTa dekho
mar-miTe hum to kabhi yaad bhi tum ne na kiya
ab mohabbat ka na karna kabhi dawa dekho
sar kahin baal kahin hath kahin panw kahin
un ka sona bhi hai kis shan ka sona dekho
ab wo shoKHi se ye kahte hain sitamgar hain jo hum
dil kisi aur se kuchh roz ko bahla dekho
waizo munh mein tumhaare bhi bhar aae pani
mai-e-rangin ka jo saghar se chhalakna dekho
baat kya hai jo hue jate ho tum yunhi KHafa
mujh ko dekho na mere dil ka dhDakna dekho
jurm-e-nazzara pe kaun itni KHushamad karta
ab wo ruThe hain lo aur tamasha dekho
masti-e-husn se apni bhi nahin tum ko KHabar
kya suno arz meri haal mera kya dekho
dosto tark-e-mohabbat ki nasihat hai fuzul
aur na mano to dil-e-zar ko samjha dekho
hawas-e-did miTi hai na miTegi 'hasrat'
dekhne ke liye chaho unhen jitna dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.