phir bhi mujhe kisi se yahan kuchh gila nahin
phir bhi mujhe kisi se yahan kuchh gila nahin
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
phir bhī mujhe kisī se yahāñ kuchh gila nahīñ
maiñ chīḳhtā huuñ aur koī boltā nahīñ
ashkoñ kā kārvān abhī tak thamā nahīñ
tū ne hamāre hijr kā qissa sunā nahīñ
maiñ ne vafā kā jaam abhī tak piyā nahīñ
ye ittifāq hī hai koī hādisa nahīñ
apnī batāo kaise basar ho rahī hai dost
merā kisī galī se koī rābta nahīñ
maiñ bhī talāshtā huuñ agar tum madad karo
vo shaḳhs jis ke dil meñ koī vasvasa nahīñ
kahte haiñ mujh ko dost ki sabr-o-razā bhī siikh
vo kaam kah rahe haiñ jo un se huā nahīñ
ḳhvāhish sī ho rahī bichhaḌ jā.ūñ ek din
ye ārzū-e-dil hai koī faisla nahīñ
ab tak badan ke dasht hare ho nahīñ sake
ik zaḳhm hai jo tū ne hamārā siyā nahīñ
be-mausamī ghuTan kā baserā hai in dinoñ
bārish se aur havā se to koī gila nahīñ
jitne bhī rang-o-nūr ke mausam the jhaḌ ga.e
ab raushnī na maañg ki ik bhī diyā nahīñ
jo lutf tere hijr ne baḳhshā hai har ghaḌī
shāyad tire visāl meñ is kā mazā nahīñ
go intizār-e-vasl meñ kaT jaa.e saarī umr
is rog kā ilaaj bhī tere sivā nahīñ
bārish jamāl-e-yār kī har ḳhās-o-ām par
lekin mire nasīb meñ terī atā nahīñ
ḳhairāt us ke kaase meñ apne karam kī Daal
ik shaḳhs tere dar se abhī tak uThā nahīñ
dasht-e-suḳhan kī sair ko ik umr ho ga.ī
lekin tire jamāl pe kuchh likh sakā nahīñ
phir bhi mujhe kisi se yahan kuchh gila nahin
main chiKHta hun aur koi bolta nahin
ashkon ka karwan abhi tak thama nahin
tu ne hamare hijr ka qissa suna nahin
main ne wafa ka jam abhi tak piya nahin
ye ittifaq hi hai koi hadisa nahin
apni batao kaise basar ho rahi hai dost
mera kisi gali se koi rabta nahin
main bhi talashta hun agar tum madad karo
wo shaKHs jis ke dil mein koi waswasa nahin
kahte hain mujh ko dost ki sabr-o-raza bhi sikh
wo kaam kah rahe hain jo un se hua nahin
KHwahish si ho rahi bichhaD jaun ek din
ye aarzu-e-dil hai koi faisla nahin
ab tak badan ke dasht hare ho nahin sake
ek zaKHm hai jo tu ne hamara siya nahin
be-mausami ghuTan ka basera hai in dinon
barish se aur hawa se to koi gila nahin
jitne bhi rang-o-nur ke mausam the jhaD gae
ab raushni na mang ki ek bhi diya nahin
jo lutf tere hijr ne baKHsha hai har ghaDi
shayad tere visal mein is ka maza nahin
go intizar-e-wasl mein kaT jae sari umr
is rog ka ilaj bhi tere siwa nahin
barish jamal-e-yar ki har KHas-o-am par
lekin mere nasib mein teri ata nahin
KHairaat us ke kase mein apne karam ki Dal
ek shaKHs tere dar se abhi tak uTha nahin
dasht-e-suKHan ki sair ko ek umr ho gai
lekin tere jamal pe kuchh likh saka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.