phir chaho tum jitni an-ban kar lena
phir chāho tum jitnī an-ban kar lenā
lekin pahle mujh ko darpan kar lenā
bosa karne jab maiñ aage baḌh jā.ūñ
tum bhī TeḌhī apnī gardan kar lenā
jaan hañsī ko apnī chhoTī uñglī kar
ġham ko mere phir govardhan kar lenā
merī dhaḌkan tez chalānī hai tum ko
thoḌī dhīmī apnī dhaḌkan kar lenā
jis mahfil meñ keval ham donoñ hoñge
us mahfil kā tum sanchālan kar lenā
phir chaho tum jitni an-ban kar lena
lekin pahle mujh ko darpan kar lena
bosa karne jab main aage baDh jaun
tum bhi TeDhi apni gardan kar lena
jaan hansi ko apni chhoTi ungli kar
gham ko mere phir gowardhan kar lena
meri dhaDkan tez chalani hai tum ko
thoDi dhimi apni dhaDkan kar lena
jis mahfil mein kewal hum donon honge
us mahfil ka tum sanchaalan kar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.